Shifaa agar chaahiye mohibbo, wazeefa ye subh-o-shaam kije,
‘Wa’eza marizto fahowa yashfeen’, ye tasbeeh bas subh-o-shaam kije.
Dawaa me kuch to asar hai pinhaa, Du’a ki lekin ek ehmiyat hai,
Do’aaton ka bas waseela lekar, Aliye aalaa ka naam kije.
Maraz hai laahiq ilaaj kije, Dawaa ke kuch talkh jaam pije,
Hakeemuddin ka hukm to mane, tabeeb ka ehteraam kije.
Anokha “Gentle Cure” bana ke, karam ye hum par kiyaa hai tumne,
Maseeh-e-Ummat Ziyauddin ko, ye sar jhuka kar salaam kije.
Huwa hai clinic ka Iftetaah ab, yahaa pe hoga ilaaj pukhta,
Kaha hai chaaragaron se Sheh ne, ilaaj-e-khwaas-o-awaam kije.
Kaho marizaan-e-jism-e-jaan se, shifaa ka dar Sheh ne waa kiya hai,
Banaam shukraana jaan apni fidaa-e-khayr-ul-anaam kije.